nashat-e-arzu ka aur kya anjam likkhunga use bhi ik-na-ik din hasrat-e-nakaam likkhunga meri rudad-e-dil ki ibtida tum intiha bhi tum tumhaara tazkira kaise barae-nam likhunga qalam ki raushnai jaane kya ilzam de mujh ko main apni subh ke auraq par jab sham likkhunga kitab-e-ishq jab bhi zindagi likhwaegi mujh se wafa ke bab mein pahle tumhaara nam likkhunga teri furqat mein khoya main teri qurbat mein kya paya na ye taklif likkhunga na wo aaram likkhunga meri subhen khafa hon ya hon bargashta meri shamen diya hai dopahar ne jo mujhe inam likkhunga sar-e-mizhgan jo akhtar ban ke chamke the 'naim-akhtar' main apni zindagi un aansuon ke nam likkhunga