nasim-e-subh pareshan hai dekhiye kya ho

nasim-e-subh pareshan hai dekhiye kya ho
khizan ki zad mein gulistan hai dekhiye kya ho

gulab zard hua lala dagh-dar hua
shagufa khauf se larzan hai dekhiye kya ho

irada wahshat-o-ghaarat-gari hai zalim ka
nishana shahr-e-nigaran hai dekhiye kya ho

wo abr jis ke barasne se phul khilte the
wo aaj shoala-ba-daman hai dekhiye kya ho

lagi hain yaron ki aankhen nae hawadis par
har ek aaina hairan hai dekhiye kya ho

sabhi rafiq-o-shafiq aaj chhute jate hain
badan se ruh gurezan hai dekhiye kya ho

gham-e-hayat se mumkin nahin mafar lekin
najat milne ka imkan hai dekhiye kya ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close