'nasir' kya kahta phirta hai kuchh na suno to behtar hai diwana hai diwane ke munh na lago to behtar hai kal jo tha wo aaj nahin jo aaj hai kal mit jaega rukhi-sukhi jo mil jae shukr karo to behtar hai kal ye tab-o-tawan na rahegi thanda ho jaega lahu nam-e-khuda ho jawan abhi kuchh kar guzro to behtar hai kya jaane kya rut badle haalat ka koi thik nahin ab ke safar mein tum bhi hamare sath chalo to behtar hai kapde badal kar baal bana kar kahan chale ho kis ke liye raat bahut kali hai 'nasir' ghar mein raho to behtar hai