nawah-e-jaan mein kahin abtari si lagti hai

nawah-e-jaan mein kahin abtari si lagti hai
sukun ho to ajab bekali si lagti hai

ek aarzu mujhe kya kya fareb deti hai
bujhe charagh mein bhi raushni si lagti hai

gai ruton ke tasarruf mein aa gaya shayad
ab aansuon mein lahu ki kami si lagti hai

usi ko yaad dilata hai bar bar dimagh
wo ek baat jo dil mein ani si lagti hai

ki roz ek naya gul khilati rahti hai
ye kaenat kisi ki gali si lagti hai

kabhi to lagta hai gumrah kar gai mujh ko
sukhan-wari kabhi paighambari si lagti hai

janab-e-shaikh ki mahfil se uth chalo ki 'suhail'
yahan to nabz-e-do-alam ruki si lagti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close