nayab hai sukun dil-e-be-qarar mein bismil ki hai tadap mere kunj-e-mazar mein gulzar-e-dahr mein chaman-e-be-khizan hun main lale ka rang hai jigar-e-dagh-dar mein kanta mila hai gunj ka zulfon ka jal hai baali ki machhli hath lagi hai shikar mein nau lakh ki jabhi hui qimat use nasib moti the mere aablon ke un ke haar mein ayyam-e-aish mein rukh-e-daulat se hai alag afsos par hamare kate hain bahaar mein jab se udi hai khak-e-alam rashk-e-mahtab ek aasman aur hai mere ghubar mein dhoi hui hai dudh se teri zaban-e-saf 'akhtar' tu hi hai shairon ke e'tibar mein