naz ghaflat ke uThata hun main hushyari mein

naz ghaflat ke uthata hun main hushyari mein
aalam-e-khwab hai goya meri bedari mein

kaun aata hai ilahi ki pa-e-istiqbaal
hasraten der se masruf hain tayyari mein

kya bana lenge shab-e-hijr bigad kar nale
dard uth baithe agar dil ki taraf-dari mein

hosh ud jate hain paband-e-qafas kar ke mujhe
hai mere sath rihai bhi giraftari mein

le liya dil mera ghussa se jhidak kar us ne
dilrubai bhi hai zalim ki dil-azari mein

jag kar bhi rahe paband-e-taghaful barson
kya tamasha hai ki sote rahe bedari mein

kyon na nakaami-e-qismat ko dua dun 'taufiq'
barson pala hai mujhe daman-e-gham-khwari mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close