nazar aa rahe hain jo tanha se hum so yun hai ki bhar pae duniya se hum na parwa hamein haal-e-behaal ki na sharminda umr-e-guzishta se hum bhala koi karta hai murdon se baat kahen kya dil-e-be-tamanna se hum nazar mein hai jab se sarapa tera jabhi se hain kuchh be-sar-o-pa se hum koi jal-pari kya pari bhi na aai magar khush hue raat dariya se hum tamashai shash-jihat hain so hain khud apne liye bhi tamasha se hum samajhna tha duniya ko yun bhi muhaal samajhte the duniya ko duniya se hum