nazar aae kya ghubar mah-o-kahkashan se aage koi karwan hai shayad mere karwan se aage koi sar ho sarf-e-sajda kahan aaj be-irada ki zamin hi be-kashish hai tere aastan se aage teri yaad dastgir-e-dil-e-gham-zada hui hai mujhe sath le chali hai gham-e-do-jahan se aage ye jahan ba-nam-e-jannat kahin phir na pesh aae wahi qasr-o-bagh jo hain mah-o-kahkashan se aage tere gesuon ki khushbu ye payam de gai hai ki nashat-bar sae hain gham-e-tapan se aage kahen kis se ho gai hai yahin aa ke khatm duniya ki nahin hai koi manzil haram-e-butan se aage kati ek umr-e-furqat sar-e-barzakh-e-mohabbat ki chala na ja raha tha dil-e-na-tawan se aage wahin daimi khushi ke hain chhupe hue khazane jo pahadi silsila hai yam-e-be-karan se aage his-e-basira ko 'mani' jo samia-e-kaif kar de wo sukhan-taraaz nargis hai kahin zaban se aage