nazar aata hai uthta jaan se dil se dhuan mujh ko dayar-e-ishq mein rahna hai ek bar-e-garan mujh ko sitam-pesha mere afsana-e-gham ko nahin sunta so kahna hai ba-andaz-e-hadis-e-digaran mujh ko sawad-e-sham hai jalte hue khemon ka manzar hai yahin aawaz deti hai koi nok-e-sinan mujh ko meri mauj-e-rawan ki sab rawani khatm kar dega bana dega wo har unwan-e-umr-e-raegan mujh ko hamesha dur se wo imtihan-e-shauq karta hai kabhi pahlu mein bhi bithlae yar-e-mehrban mujh ko bharam rakhna hai kuchh to izzat-e-sadat ka aakhir ki ab hone lagi hain ishq mein ruswaiyan mujh ko mata-e-naqd-e-jaan khud rahzan ki nazr kar deta agar main jaanna lautega mir-e-karwan mujh ko suna aashob-e-wahshat aur fishaar-e-zat ka naghma 'nadim' ab karwan-e-dard le aaya kahan mujh ko