nazar ka nashsha badan ka khumar tut gaya ki ab wo aaina-e-e'tibar tut gaya bataen kya tumhein ab lamha-e-qarar ki baat zara si der ko chamka sharar tut gaya koi khayal hai sae ki tarah sath mere akele-pan ka bhi mere hisar tut gaya shikast khai na main ne fareb duniya se dil is nabard mein go bar bar tut gaya utho ki aur koi rishta ustuwar karen jise tha tutna 'tariq' wo tar tut gaya