nazar ka ye eajaz hum dekhte hain

nazar ka ye eajaz hum dekhte hain
har ek samt wo hi sanam dekhte hain

idhar aate un ke qadam dekhte hain
sitam hai ki hai ye karam dekhte hain

juda dekhte hain zamin aasman se
khuda ka juda ye karam dekhte hain

na duniya rahegi na hum tum hi honge
abas ek duje ko hum dekhte hain

adawat ki buniyaad hi rashk par hai
adu khwab mein khud ko hum dekhte hain

bahut milne se aib dikhte hain kam-kam
bahut dekhte hain jo kam dekhte hain

kisi ne na dekha jo zahir tha sab par
jahan mein sab apne bharam dekhte hain

bura lag gaya hai mera sach hi itna
tere jhut ko log kam dekhte hain

nahin tas se mas hote dekhoge hum ko
raqibo tumhaara bhi dam dekhte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close