nazar ko qurb-e-shanasai banTne wale

nazar ko qurb-e-shanasai bantne wale
kabhi to hath aa parchhai bantne wale

akela-pan dar-o-diwar se tapakta hai
kahan gae meri tanhai bantne wale

ye munh se sukhe niwale bhi chhin lete hain
bahut gharib hain mahngai bantne wale

hamare shahr ko teri badi zarurat hai
idhar bhi aa kabhi achchhai bantne wale

kabhi ye soch ke tere bhi apne bachche hain
hamari nasl ko nangai bantne wale

zamana kya hua ab jo nazar nahin aate
wafa ki pyar ki binai bantne wale


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close