nazar mat bul-hawas par kar are chanchal sambhaal ankhiyan ki us bad-feal sun khinchengi aakhir infial ankhiyan judai se howe mafrur jaan qalib ke suba sun apas didar sun karti hain phir us kun bahaal ankhiyan nigah-e-garm gul-ru sin hua raushan yu mali par ki ab suraj naman nargis pe ladengi zawal ankhiyan hua malum bad-karan taraf nit sin karne sun ki rajware mein basti hain sirijan ki juhhaal ankhiyan jahan ke rawtan sun ghamza ke neza kun chamka kar nazar-bazi ke maidan bich karti hain qital ankhiyan murawwat ka asar dasta nahin us shokh chitwan mein magar rakhti hain aashiq sun apas dil mein malal ankhiyan siyah-chashmi hui zahir lalan ki chashm-poshi mein chhupati hain apas mushtaq sun apna jamal ankhiyan