nazar mein apni kabhi is qadar bura to na tha main apne-ap se pahle gurez-pa to na tha ye kya kiya use taqdir saunp di apni meri tarah wo ek insan tha khuda to na tha guzar gaya jo barabar se munh chhupae hue ye sochta hun kahin koi aashna to na tha kise qubul tha zindan-e-ab-o-gil lekin ab aur us ke siwa koi rasta to na tha jami thin mujh pe nigahen jo ek zamane ki mujhe wo mud ke sar-e-rah dekhta to na tha tamam-umr rahi jis ki justuju 'khawar' kahin wo shakhs mujhi mein chhupa hua to na tha