nazar mein manzar-e-rafta sama bhi sakta hai koi bhulaya hua yaad aa bhi sakta hai main us se ruth gaya hun magar ye haq hai use manana chahe to mujh ko mana bhi sakta hai main us ke rahm-o-karam par hun ek muddat se jala bhi sakta hai mujh ko bujha bhi sakta hai ye ikhtiyar use de diya gaya hai ki wo hinsa bhi sakta hai mujh ko rula bhi sakta hai 'hasn-jamil' banaya tha is ne dil se mujhe kisi bhi waqt magar wo mita bhi sakta hai