nazar nazar se milai kyon thi nafas nafas mein samae kyon the

nazar nazar se milai kyon thi nafas nafas mein samae kyon the
unhen tha manzur mujh se parda to samne mere aae kyon the

dayar-e-husn-e-wafa-talab ki taraf qadam hi uthae kyon the
junun ko ilzam dene wale junun ki baaton mein aae kyon the

isi khata ki saza mein ab tak nishan-e-manzil nahin mila hai
rah-e-mohabbat mein awwal awwal mere qadam dagmagae kyon the

wo aaftab-e-jamal shayad yahin kahin se guzar raha hai
jahan-e-dil ke tamam zarre abhi abhi jagmagae kyon the

nafas nafas sad-khalish bad-amal qadam qadam par hazar tufan
main ab ye samjha ki roz-e-awwal wo dekh kar muskurae kyon the

unhen jo ab 'kaif' se hai shikwa ki nazm-e-alam bigad dala
wo aise diwane ko bhala is khirad ki duniya mein lae kyon the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close