nazar nazar se milaoge mare jaoge ziyaada bojh uthaoge mare jaoge koi nahin hai yahan e'tibar ke qabil kisi ko raaz bataoge mare jaoge har ek shakh pe chhidka hua hai zahr yahan shajar ko hath lagaoge mare jaoge jo kandhe par ho wo gardan utar leta hai kisi ko uncha uthaoge mare jaoge har ek aaina manzar juda banata hai nazar ka bojh uthaoge mare jaoge dhuen mein milna muqaddar hai in lakiron ka hawa mein naqsh banaoge mare jaoge ye nafsiyati marizon ka shahr hai 'qaisar' koi sawal uthaoge mare jaoge