nazar se dur hote ja rahe hain

nazar se dur hote ja rahe hain
sarapa nur hote ja rahe hain

jinhen badnam karna chahte ho
wahi mashhur hote ja rahe hain

hum aaghaz-e-safar se pahle hi kyun
thakan se chur hote ja rahe hain

badhi hai raushni tahzib-e-nau ki
makan be-nur hote ja rahe hain

har ek apna janaza dho raha hai
sabhi mazdur hote ja rahe hain

khile the phul zakhmon ke jo ek din
wo ab nasur hote ja rahe hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close