nazar se dur rahe mujh ko aazmae bhi agar wo waqt nahin hai to laut aae bhi hai aabshaar to ehsas ko kare sairab wo pyas hai to meri tishnagi badhae bhi wo mauj hai to mujhe gharq bhi zarur kare hai nakhuda to bhanwar se nikal lae bhi wo khwab hai to kare bas qayam aankhon mein agar hai khauf to ninden meri udae bhi wo masala hai to meri jabin pe raushan ho wo koi hal hai to dil ko qarar aae bhi nazar-shanas na ho to mujhe bhi tadpae wo dil-nawaz agar hai to man jae bhi agar wo aur koi hai to koi baat nahin hai zindagi to andheron mein gungunae bhi