nazar us par fida hai jis ki tabani nahin jati koi aalam ho jalwon ki farawani nahin jati tasawwur se bhi un ki jalwa-samani nahin jati pade hain lakh parde phir bhi uryani nahin jati namaz-e-ashiqi mujh par bala-e-na-gahan guzri tumhaare aastan tak meri peshani nahin jati wajud-e-zindagi ek khel hai do-chaar lamhon ka haqiqat aadmi se us ki pahchani nahin jati sitaron mein bahaaron mein nazaron mein hazaron mein wahi to ek surat hai jo pahchani nahin jati safine aansuon ke tairte rahte hain aankhon mein kisi surat hamare dil ki tughyani nahin jati tamanna khub jaane hai tabassum un ke honton ka magar zer-e-tabassum fitna-samani nahin jati