nazir kah ki na kah be-nazir kitna hun

'nazir' kah ki na kah be-nazir kitna hun
misal de ki main raushan-zamir kitna hun

tu meri waza-e-faqiri pe ungli na utha
baghair samjhe ki dil ka amir kitna hun

parakh saken na mujhe jauhari nigahen bhi
main unchi zat ka hira haqir kitna hun

kaman khinch ke baitha hun aaj lafzon ki
wo jaan jaega dil ka sharir kitna hun

chhuda saka na gham-e-dahr se kisi ko hanuz
main apni zat ke gham mein asir kitna hun

meri hayat ka nauha bhi kya khabar dega
hisar-e-karb-o-bala mein asir kitna hun

panah-gah-e-sukun dhundhta hun gam-ba-gam
azab-e-zist mein lipta 'nazir' kitna hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close