nazm bhi git bhi naghma bhi ghazal bhi tu hai

nazm bhi git bhi naghma bhi ghazal bhi tu hai
meri sochon ka hasin taj-mahal bhi tu hai

meri bedari-e-ehsas ka zamin bhi tu
mere pakiza tasawwur ka badal bhi tu hai

tujh se mansub hain khushiyan bhi alam bhi yani
meri kamzori bhi tu hai mera bal bhi tu hai

tu hi uljhan ka sabab hai mere haq mein lekin
meri pechidgi-e-zist ka hal bhi tu hai

meri tahzib ka aaina-e-be-dagh bhi tu
mera kirdar mera husn-e-amal bhi tu hai

tere hi dam se hai raushan meri duniya jaanan
mera suraj bhi mera chand kanwal bhi tu hai

sirf raqim ke siwa kuchh bhi nahin tera ‘khatib’
tu ghazal bhi sabab-e-husn-e-ghazal bhi tu hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close