ne amiron mein ne waziron mein ishq ke hum to hain faqiron mein koi aazad ho to ho yaro hum to hain ishq ke asiron mein banda-e-ishq haq hai apne yahan taj-daron mein takht-giron mein furqat-e-yar ki bhari hai bu nala-ha-e-nai o nafiron mein zan-e-duniya murid kis ki nahin hum bhi is qahba ke the piron mein ab to khamosh hain qafas mein kabhi naghma-sanjaan the ham-safiron mein hum ko tu wajib-ul-wajud mila hum kabiron mein hum saghiron mein kunj-e-uzlat mein yar ko paya ne qalilon mein ne kasiron mein shukr-e-haq kijiye ki hai 'matam' apne dildar dil-paziron mein