neamat-e-tark-e-talab tark-e-tamanna mange dene wale se jo mange bhi to kya mange zarf-e-dil soz-e-darun dida-e-bina mange ye jo mil jaen to phir dawat-e-jalwa mange haram-o-dair-o-kalisa mein jhukegi kyun-kar wo jabin jo ki tera naqsh-e-kaf-e-pa mange hum to iqrar-e-gunah hashr mein kar bhi lenge shan-e-rahmat ye nahin hai ki ishaara mange dast-o-bazu ki karamat se mila karti hai chiz kyun koi kisi se bhi khudara mange hashr mein yun bhi mulaqat to ho jaegi kyun abas tujh se koi wada-e-farda mange