neki badi ki ab koi mizan hi nahin iman ki baat ye hai ki iman hi nahin is daur-e-be-zamir pe kya tabsira karun lagta hai mere ahd mein insan hi nahin kaise rafu karun main kahan se rafu karun dil bhi hai mera chaak gareban hi nahin rudad-e-dil bhi hai ye gham-e-kaenat bhi meri ghazal nashat ka saman hi nahin barakat hamare rizq mein aaegi kis tarah ghar mein hamare jab koi mehman hi nahin lo wo azan se subh ki tasdiq ho gai goya ab us ke aane ka imkan hi nahin