nekiyan to aap ki sari bhula di jaengi

nekiyan to aap ki sari bhula di jaengi
ghalatiyan rai bhi hon parwat bana di jaengi

raushni darkar hogi jab bhi mahlon ko zara
shahr ki sab jhuggiyan pal mein jala di jaengi

phir koi taswir hakim ko lagi hai aaina
ungliyan tai hain musawwir ki kata di jaengi

un ke armanon ki parwa ahl-e-mahfil ko kahan
subh hote hi sabhi shamen bujha di jaengi

nam patthar par shahidon ke likhe to jaenge
han magar qurbaniyan un ki bhula di jaengi

kaun murjhane se rokega gulon ko ai 'dinesh'
bulbulen hi bagh se jab sab uda di jaengi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close