neze pe sar chaDhega sayyad ko sab pata tha

neze pe sar chadhega sayyad ko sab pata tha
lekin wo su-e-maqtal be-khauf chal raha tha

bete bhatije bhai ware nahin jhuka wo
baatil ko haq na mana itna sa muddaa tha

matam-kunan tha us pal insaniyat pe sahra
banhon mein jab wo lash-e-asghar liye khada tha

yaqub ki tarah se roya na tha idhar wo
nabiyon se badh ke mere murshid ka hausla tha

tarikh padh ke dekhen milta nahin koi bhi
karb-o-bala mein jaise ghazi mera lada tha

islam zinda hai to zinda husain bhi hain
karbal faqat yazidi nakhwat ka khatma tha

marta nahin 'zafar' jo haq sach pe sar kata de
sochon ko jis ne badla aisa wo saneha tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close