nichi nazar kushada jabin darmiyana qad

nichi nazar kushada jabin darmiyana qad
gesu daraaz shirin zaban husn mustanad

mana wafa ke bal pe khada hai to thik hai
gir jaega par ishq ki diwar se na lad

tab der ho chuki thi bahut kaise rokta
palti thi jab wo rote hue chum kar lahad

hajat to ek tisri cigarette ki hai magar
us ka ye hukm hai ki bas ek din mein do adad

begana kar de ishq gham-e-rozgar se
bas ek did ke liye din-bhar ke kaam radd


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close