nigah-e-dil se jo guzra to phir sitara hua

nigah-e-dil se jo guzra to phir sitara hua
wo chand mere sukhan ka jo istiara hua

tumhaare did se pahle wo ek manzar tha
tumhaari aankh ne dekha to ek nazara hua

zamin-e-dil pe sukhan ka nuzul hota raha
kisi nazar ke hunar ka junhi ishaara hua

sukhan ye shab ka guzari hui wo subh-e-visal
hayat-e-husn ka itna hi goshwara hua

wo rang-saz raha gharq fikr-e-rangin mein
wo husn-e-zist mein ek dil-nashin idara hua

wo yun tulua hua le ke aks-e-tabinda
ki jaise jhil mein ek chand ho utara hua

wo shahzada mohabbat ke pairahan mein dhala
wo khud-sari-o-ana-o-ghurur haara hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close