nigah-e-naz mein haya bhi hai is banawat ki intiha bhi hai be-sar-o-pa nahin hai ye duniya ibtida bhi hai intiha bhi hai shab-e-furqat mein kya kare koi kuchh andhere mein sujhta bhi hai meri ek musht-e-khak ke pichhe baad-e-sarsar bhi hai saba bhi hai bazm-e-rindan mein rind bhi hai 'aziz' parsaon mein parsa bhi hai