nigah-e-shauq se kab tak muqabla karte wo iltifat na karte to aur kya karte ye rasm-e-tark-e-mohabbat bhi hum ada karte tere baghair magar zindagi ko kya karte ghurur-e-husn ko manus-e-iltija karte wo hum nahin ki jo khud-dariyan fana karte kisi ki yaad ne tadpa diya phir aa ke hamein hui thi der na kuchh dil se mashwara karte ye puchho husn ko ilzam dene walon se jo wo sitam bhi na karta to aap kya karte sitam-shiar azal se hai husn ki fitrat jo main wafa bhi na karta to wo jafa karte hamein to apni tabahi ki dad bhi na mili teri nawazish-e-beja ka kya gila karte nigah-e-naz ki masumiyat are tauba jo hum fareb na khate to aur kya karte nigah-e-lutf ki taskin ka shukriya lekin mata-e-dard ko kis dil se hum juda karte