nigah-e-yar humse aaj be-taqsir phirti hai

nigah-e-yar hum se aaj be-taqsir phirti hai
kisi ki kuchh nahin chalti hai jab taqdir phirti hai

muraqqa hai meri aankhon mein kya yaran-e-rafta ka
jo nazron ke tale har ek ki taswir phirti hai

tera diwana jab se uth gaya sahra-e-wahshat se
bagule ki tarah se dhundhti zanjir phirti hai

teri talwar ka munh hum se phir jae to phir jae
hamari aankh kab qatil tah-e-shamshir phirti hai

kabhi to khinch laegi use gor-e-ghariban par
ki muddat se hamari khak daman-gir phirti hai

bayan kis munh se hoe yar ki shirin-kalami ka
zaban par apni ab tak lazzat-e-taqrir phirti hai

maqam-e-ishq mein shah-o-gada ka ek rutba hai
zulekha har gali-kuche mein be-tauqir phirti hai

firaqe-e-gul mein itna tu abas nalan o muztar hai
bahaar-e-rafta phir ai bulbul-e-dil-gir phirti hai

dar-e-bab-e-asar tak ek din jate nahin dekha
khuda jaane kahan ye aah-e-be-tasir phirti hai

khuda shahid hai is ka phir nahin milti nahin milti
tabiat apni jis se o but-e-be-pir phirti hai

hum us laila ko diwane hain ai 'ghafil' jo sahra mein
baghal mein apne majnun ki liye taswir phirti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close