nigah o dil ke pas ho wo mera aashna rahe hawas hai ya ki ishq hai ye kaun sochta rahe wo mera jab na ho saka to phir yahi saza rahe kisi ko pyar jab karun wo chhup ke dekhta rahe use mana to lun magar ye silsila bhi kya rahe alag hai us ka zaiqa ki wo khincha khincha rahe masham-e-jaan pe khushbuon ki jab phuwar hi na ho hazar baat baat mein wo phul tankta rahe shaguftan-e-jamal ko hijab-e-lams chahiye fasil-e-shab ki ot mein charagh ye jala rahe na itni dur jaiye ki log puchhne lagen kisi ko dil ki kya khabar ye hath to mila rahe