nigah-o-dil se guzri dastan tak baat ja pahunchi mere honton se nikli aur kahan tak baat ja pahunchi bahe aansu zamin par aasman tak baat ja pahunchi kahi zarron se lekin kahkashan tak baat ja pahunchi abhi hai ikhtilaf-e-jam-o-mina raaz ki had tak na-jaane kya ho gar pir-o-mughan tak baat ja pahunchi raqibon ne yunhi dawa kiya tha jaan-nisari ka magar meri badaulat imtihan tak baat ja pahunchi samajhte the rahegi zindagi mahdud-e-gul-bulbul magar takhrib-e-nazm-e-gulistan tak baat ja pahunchi chhida tha bazm mein kal tazkira mizhgan-o-abru ka badhi kuchh is qadar tegh-o-sinan tak baat ja pahunchi maal-e-jurm-e-taqsim-e-watan kya kam tha rone ko ki ab fikr-o-malal-e-ashiyan tak baat ja pahunchi chhupa rakha tha jis ko muddaton se dil mein ai 'anwar' hazar afsos wo sharh-o-bayan tak baat ja pahunchi