nigah phir se wahi shakl ru-baru chahe

nigah phir se wahi shakl ru-baru chahe
wo shakl mausam-e-gul jis se rang-o-bu chahe

na tera zikr na wo teri guftugu chahe
ki us ko chahiye kya aur jis ko tu chahe

yaqin donon ko hai aur is mohabbat ka
na e'tiraf kabhi main karun na tu chahe

ye haal ho to koi us se kya kahe jis ko
haya bhi aae magar sharh-e-arzu chahe

kahin se shab ki mazammat ka silsila to chale
koi to ho jo ujalon ko surkh-ru chahe

use khabar hai ki hum us pe jaan dete hain
ana-parast hai izhaar ru-baru chahe

'surur' harf-shanasi ki manzilen hain kathin
ki ye riyazat-e-fan dil lahu-lahu chahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close