nigah se bhi gae arz-e-haal se bhi gae

nigah se bhi gae arz-e-haal se bhi gae
wo barhami hai ki hum bol-chaal se bhi gae

wo lafz jo main teri aarzu mein likhti thi
wo naqsh to meri lauh-e-khayal se bhi gae

misal deti thi duniya bhi jis rifaqat ki
wo fasle hain ki ab is misal se bhi gae

wo tairan-e-mohabbat jinhen falak na mila
udan bhar na sake aur dal se bhi gae

wo harf-e-marham-e-har-zakhm yaad the 'afroz'
ab un ke baad to hum indimal se bhi gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close