nigahon par nigahbani bahut hai nawazish zill-e-subhani bahut hai yahan aise hi hum kab baith jate tere kuche mein virani bahut hai abhi qasd-e-safar ka qissa kaisa abhi rahon mein aasani bahut hai teri aankhen khuda mahfuz rakkhe teri aankhon mein hairani bahut hai lab-e-dariya zaban se tar karenge abhi talwar mein pani bahut hai mubarak un ko sultani adab ki mujhe to us ki darbani bahut hai