nikal aaya wo ghabra kar dil us ka is qadar dhadka sada bijli ki di nale ne jab munh se mere kadka thahar kuchh din mein dast-andaziyon ka waqt aaega nihaal-e-nau-damida hun bharosa kya meri jad ka hamesha khak-o-khun mein mujh ko betabi bithaya ki ba-shakl-e-murgh-e-bismil kaun se pahlu nahin phadka khayal-e-ariz-e-raushan mein subh-o-sham yaksan hai yahan aathon-pahar pesh-e-nazar hai nur ka tadka ye sach hai waqt par be-raunaqi bhi kaam aati hai nihaal-e-khushk ko khatka nahin hota hai patjhad ka na kyun pinhan rakhun daman mein us ko kam-nigahon se samajhta hun main apna ashk-e-gulgun lal gudad ka guzarta hai salamat waqif-e-anjam matlab se nahin rasta khatakta aankh mein dahqan ki bihad ka liye hain gul ke bose aaj kis chori se bulbul ne pada soya kiya gulchin koi patta nahin khadka chhupaya parda-e-fanus ban kar jism-e-uryan ne darun-e-ustukhwan se jis ghadi shoala koi bhadka ba-juz ima kalam-e-ishq matlab se muarra hai kisi par raaz khul sakta nahin majzub ki bad ka fasahat ke khilaf aae nazar sab qafiye hum ko 'nasim' aisi zamin par kijiye itlaq bihad ka