nikal hi aati thi surat kabhi palatne ki par us ne ki nahin niyyat kabhi palatne ki tamam umr usi ka intizar karte rahe ki jis mein thi nahin aadat kabhi palatne ki ab ek sang ki surat pade hain dar pe tere chuka rahe hain yun qimat kabhi palatne ki wagarna wo to na tha is qadar bhi sakht mizaj hamin ne ki nahin himmat kabhi palatne ki