nikal ke zehn se mere zaban pe aaya kab wo dil ka naghma sahi main ne gungunaya kab gai jo dhup to ab chandni ki bari hai ki sath chhodega mera ye kala saya kab na jaane ho gaya duniya mein tere jaisa kyun sabaq hayat ka tu ne mujhe padhaya kab tamam-shahr to khushbu se us ki waqif hai koi to mujh ko batata yahan wo aaya kab main tum se pahle mila tha to us mein dhadkan thi batao sine mein patthar ka dil lagaya kab main is ke dhyan mein is darja gum hua ek din pata chala hi nahin kab gaya wo aaya kab safar ye dhup ka ab khatm hone wala hai chalega sath mere koi saya saya kab