nikalo koi to surat ki tirgi kam ho hamara ghar hi jala do jo raushni kam ho hamare ahd ko ras aa gai wo baad-e-sumum ki jis mein maut ziyaada ho zindagi kam ho zamane kaise tujhe apni rah par lae hum ahl-e-ishq ki kaise ye bebasi kam ho kisi tarah to numaish ka ye nasha utre kisi tarah to dikhawe ki zindagi kam ho ye kya hamesha wafa-o-khulus ki baaten kuchh aisi baat karo jo kahi suni kam ho koi jatan to karo dosto bulao use meri nigah ki us ki ye pyas hi kam ho tumhaara mera ye rishta ajib hai ki jahan na dosti hi ghate aur na dushmani kam ho