nikhar saka na badan chandni mein sone se sahar hui to kharashen chunin bichhaune se sadaf liye hue ubhri hai lash bhi meri bacha rahe the mujhe log gharq hone se hunar hai tujh mein to qail bhi kar zamane ko chamak uthegi na shakl aaine ko dhone se lipat rahi hain mere raston se raushaniyan nazar mein log hain kuchh sanwle salone se laga ke zakhm bahane chala hai ab aansu ruka hai khun kahin pattiyan bhigone se hamin na hon kahin dekho to ghaur se logo hain tifl-e-waqt ke hathon mein kuchh khilaune se mere dukhon se bhi kuchh faeda utha duniya zamin ki pyas bujhe baadalon ke rone se lahu ragon mein 'muzaffar' chhudae mahtabi mile hai kya use chingariyan chubhone se