nikhat jo teri zulf-e-moambar se uDi hai

nikhat jo teri zulf-e-moambar se udi hai
kab khuld mein khushbu wo gul-e-tar se udi hai

hasrat bhari nazron se use dekh raha hun
wo aab jo chalte hue khanjar se udi hai

ek qabiz-e-arwah ke hamrah meri ruh
paikar se jo nikli to barabar se udi hai

wahshat ke sabab jab mera ghar ho gaya viran
tab ghar ke ujadne ki khabar ghar se udi hai

rindon ki bhi qismat ki kharabi ka hai afsos
mai ban ke pari shisha-o-saghar se udi hai

saqi ne tujhe tishna hi rakkha hai 'zahir' ab
shayad mai-e-ishrat bhi muqaddar se udi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close