nikhat-o-nur ka sailab tha chaaron jaanib main akela tha mera khwab tha chaaron jaanib wasl ka nashsha rag-o-pai mein samundar jaisa ek badan surat-e-mahtab tha chaaron jaanib ham-rahi ne teri khole the rumuz-e-hasti aankh bhar manzar-e-shadab tha chaaron jaanib tha samaat pe wahi fiqron ka bojhal shab-khun main bhi tha halqa-e-ahbab tha chaaron jaanib main kahan kasa-e-ulfat liye phirta 'aslam' zar-e-ikhlas hi kamyab tha chaaron jaanib