nikhra khizan se rang-e-bahaaran hai in dinon viraniyon se badh ke gulistan hai in dinon kam-maya mor mail-e-parwaz kyun hue barham bahut mizaj-e-sulaiman hai in dinon phir tez ho chali hai hawa-e-fareb-e-ishq kitna hasin ahd hai paiman hai in dinon shaikh aa gaya bulandi-e-mimbar se farsh par phir sazish-e-buland ka imkan hai in dinon khinchi ajib karb se sahil ne aah-e-sard goya sukut bar-lab-e-tufan hai in dinon phir badh ke hum ne jam-e-tamanna utha liya phir ek nai shikast ka arman hai in dinon wo daur-e-hadsat-e-jahan hai ki al-aman apna to bas khuda hi nigahban hai in dinon