nikla hai zulm toD ke sare hisar bhag

nikla hai zulm tod ke sare hisar bhag
sunta hai kaun ab na kisi ko pukar bhag

main gardishon se bhagta phirta hun raat din
tu bhi zamin chhod ke apna madar bhag

go qafila chala gaya tu gham-zada na ho
wo dekh uth raha hai abhi bhi ghubar bhag

lipti hai tere jism se kyon dopahar ki shaal
kyon ho raha hai din ki hawas ka shikar bhag

bhula dayar-e-ghair mein aaya hai to tujhe
uljha na de ye gardish-e-lail-o-nahaar bhag

ek tu bacha hai shahr to sara ujad gaya
ab kar raha hai kis ka bhala intizar bhag

ek pal mein hi samet le sadiyon ka fasla
panw se 'qais' waqt ki bedi utar bhag


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close