niyaz o naz ke jhagde mitae jate hain hum un mein aur wo hum mein samae jate hain shuru-e-rah-e-mohabbat are maaz-allah ye haal hai ki qadam dagmagae jate hain ye naz-e-husn to dekho ki dil ko tadpa kar nazar milate nahin muskurae jate hain mere junun-e-tamanna ka kuchh khayal nahin lajae jate hain daman chhudae jate hain jo dil se uthte hain shoale wo rang ban ban kar tamam manzar-e-fitrat pe chhae jate hain main apni aah ke sadqe ki meri aah mein bhi teri nigah ke andaz pae jate hain rawan dawan liye jati hai aarzu-e-visal kashan kashan tere nazdik aae jate hain kahan manazil-e-hasti kahan hum ahl-e-fana abhi kuchh aur ye tohmat uthae jate hain meri talab bhi usi ke karam ka sadqa hai qadam ye uthte nahin hain uthae jate hain ilahi tark-e-mohabbat bhi kya mohabbat hai bhulate hain unhen wo yaad aae jate hain sunae the lab-e-nai se kisi ne jo naghme lab-e-'jigar' se mukarrar sunae jate hain