niyaz-o-naz ke jhagdon se mawara hun main na muddai hun kisi ka na muddaa hun main fughan-e-be-asar-o-ah-e-na-rasa hun main jahan-e-ishq ki bigdi hui hawa hun main kisi se kar ke wafa nadim-e-wafa hun main ab aap apni nigahon se chhup raha hun main ba-faiz-e-azm ba-zauq-e-talab ba-nam-e-khuda khud aap apne safine ka nakhuda hun main sawal-e-did to mera ye ehtiraman hai kisi ke warna hijabon mein khud chhupa hun main ye zoam-e-naz ye naz-e-khudi maaz-allah tumhaara bas ho to kahne lago khuda hun main dhadakte dil se yun takta hun har sitare ko kaha ho jaise kisi ne ki aa raha hun main falak se kah do ki roke na gardishen apni ba-khair hun zara karwat badal raha hun main 'shifa' ye raaz-e-mohabbat hai koi kya jaane wo mujh mein chhup gae ya un mein chhup gaya hun main