numu ke irfan se be-KHabar hun

numu ke irfan se be-khabar hun
ki lala-e-dasht-e-be-shajar hun

ye zard phulon ke kunj dekho
yahan bhi aao ki main idhar hun

wo phul hai shakh par rahega
main us ki khushbu hun dar-ba-dar hun

wo zindagi ki saza ka lamha
us ek lamhe ka main samar hun

mujhe uthane ka haq hai kis ko
ki apni turbat pe nauhagar hun

wo kaj-kulahon ki bastiyan hain
wahan na le chal main nange sar hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close