numud-e-rang-o-bu ne mar dala usi ki aarzu ne mar dala na duniya hi ka rakkha aur na din ka dil-e-madhosh tu ne mar dala takallum ka fusun allahu-akbar kisi ki guftugu ne mar dala na rudad-e-hubab-e-zindagi puchh khiram-e-ab-ju ne mar dala khuda waiz se samjhe hashr ke din hamein us be-wazu ne mar dala zamane ke 'amin' munh kaun aata khayal-e-abru ne mar dala